Sunday, December 19, 2004

Another of my Sentimental Creation

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
khushiyon sey dil bhara na tha
ki tumne saath chor diya
zindagi key mushkil safar main
kahan humey tanha la kar chor diya

tere deedar ko taraz gayee nigaheinna
husti hain na roti hain
kya kusoor hain inka
jo raat din bus tere hi khwaab dekhti hain

socha na tha is qadar ishq hoga
subah shaam tera hi junoon hoga
aab kya karey koi to samjhaye
ki is dil ko thoda sa sukoon aaye

aab to na kissi ki aarzoo
naa kissi ki talaash hain
main to phool hu tanhaiyo
ka bus veeraney ki talaash hain
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
aadaab,
Hatim

1 comment:

Anonymous said...

I may sound like a depressed deprived child but the reality is I truly like this sad stash of poetry... Well written!